Sunday 18 February 2018

Ishtehaar (Shamir tandon)

Idhar jaaun, udhar jaaun
Kasmakash mein hu main kidhar jaaun
Mujhko bata de mere maula
Khatm agar ho gaya safar jaaun

Dil mein chubhne laga hai khaar koyi
Pad gayi hai kahin darar koyi
Mujhko padh kar woh aise bhool gaya
Jaise kajaz pe ishtehaar koyi

Dil mein chubhne laga hai khaar koyi
Pad gayi hai kahin darar koyi
Mujhko padh kar woh aise bhool gaya
Mujhko padh kar woh aise bhool gaya
Jaise kajaz pe ishtehaar koyi


Kaun samjhega rok rakha hai
Maine palkon pe abshar koyi
Chhod jaane de, karke ghuzra hai
Mere khwaabon ko taar taar koyi
Mujhko padh kar woh aise bhool gaya
Jaise kajaz pe ishtehaar koyi

Chahta hoon main par nahi rehti
Mujhko meri khabar nahi rehti
Main hu aise ki jashn se pehle
Toot jata hai jaise haar koyi
Mujhko padh kar woh aise bhool gaya
Jaise kajaz pe ishtehaar koyi

Dil mein chubhne laga hai khaar koyi
Pad gayi hai kahin darar koyi
Mujhko padh kar woh aise bhool gaya
Jaise kajaz pe ishtehaar koyi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Rowdy Baby - ( Maari 2 )

Popular Posts